Gmail kya hai—din
pe din badhti thechnology digital duniya me agar aapke paas Email id nhi hai to
sunane me aapko bura v lg sakta hai par ye sach hai ke aap bahot Low standard ke
hain.
Gmail ek aisa email platform hai jha par ham apni chhoti
file kisi aur email par send kr sakte hai
Email ek prakar ki id hoti hai jaise meri Id hai abhi.rob111@gmail.com .
Vaise to email ke liye bahot platform hain jaise Yahoo,Hotmail,
vagairah par Gmail unme se sabse
Important hai kyunki ye Google ka hai Aur aap
jaante hi honge ke Internet ka dusra naam Google hi hai .
Kaise Banaaye--To chaliye ham jaante hain ise kaise banaya jaaye ??
Sabse pehle aap browser open kr le usme www.gmail.com website open kre Ya Yha
Click kre.
Ab is tarah ka ek page khulega usme Create an Account par click kre Ya
fir Yha
Click Kre.
- Ab isme first name Apna daale jaise mera name Abhinav Chaubey hai to mera first name Abhinav hoga Aur Last name Chaubey hoga.
- fir username daale jaise aapka naam rakesh Singh hai to aap daal sakte ho-- rakesh.singh111 ye bhi hosakta hai ke jo aap username daal rhe ho wo us username se pehle hi koi id bna chuka hai to aap kuchh word ya koi number change karenge to support kr lega.
- fir jo aapko pasand ho password daale koi 10 number ya usse adhik.
- current password is tarh se daale jaise aapka name rakesh singh hai to rakesh123456 ya rs4587615 is tarh se daal sakte hain.
- fir confirm password me bhi wahi daale jo password aapne pehle daala hai. fir birth day month aur year daale. Fir Gender me aap gents ho to male aur ladies ho to female daale.
Fir Apna mobile number daale jo aapke paas me ho .
Fir agar pehle se aapki id hai to usme uska username daal sakte hai agar nhi hai to na daale.
fir niche code likha hoga use dhyan se dekh ke sahi daale Type the Text box me.
fir I agree to the Google terms of condition par box me click kre fir NEXT STEP par Click kr de.
- Fir Continue to Gmail par Click kre.
Appki Id bankar Taiyar hai.
Ummeed karta hu ke ye jankari Aapko pasand Aayi hogi..
Agar koi bhi confusion ho To comment me Question kre mai Solution dene ki puri koshish karunga.
! THANK YOU !
ConversionConversion EmoticonEmoticon