history of Computer |
Pahle ke Computer kaafi kimati hote the aur sirf bade sangathan hi unhe kharid sakte the . Lekin hal hi ke kuchh varsho me suchana takniki ( Information Technology ) ke kuchh Kshetro me aayi nayiTaknikon aur vikas ne computers ko chhote sangathano aur logon ki pahuch ke andar la diya hai .
Generations Of Computer
Computer ko 5 Generations me bata gya hai jo niche
bataya ja rha hai...
First
Generation :-- Eckert aur Msuchly ne 1946 me ek nayi company
sthapit ki . Is company ko 1949 me UNIVAC division ke name se Remington Rand me
shamil kar liya gya . 1951 me is company dwara banayi gyi pahli mashine
UNIVAC-1 ko buro office Census me operational banaya gya . Is mashine me data
input aur output ke liye magnetic
madhyam ka prayog kiya gya . Yah itni majboot thi ke ise din ke 24 ghante
chalaya ja sakta tha aur isne 1963 tak safalatapurvak kaam kiya .
Second
Generation :--
Tranjistor takniki ke aviskar ke bad second generation ke computer saamne aaye
. Ye computer size me chhote Adhik
viswasaniy aur adhik kushal the . In mashins ne English ke tarah ki bhasha jise high level language ( HLL ) kha gya .
Bahot si American aur Yuropiyan Companies ne in mashins ko banaya . Inme se
ek IBM-1401 sabse adhik Lokpriya thi .
Third
Generation :-- 60 ke dashak me Integrated Circuits jinhe ICs
ke naam se pahchana jata hai Micro Electronics ke kshetra me aaye .Wo computers
jinme jyada electronic components ka prayog hota tha unko do tarfa laabh mila ek or unki kimat
ghati aur dusri or unki size bhi chhoti hui, Inke alawa mashine me power ki
khapat bhi kam hoti thi Aur ye kaafi vishwasaniya bhi tha . In mashines me
adhik versatile programms ka upyog hota
tha jaise Realtime Operating System ,
Multy Programming Taknik , aur data Base Management . IBM370 is Generation ki
bahot hi shaktishali mashine hai.
Fourth
Genertation :-- Fourth Generation ke computers mukhyataur par Microprocessor par
aadharit hote hain jinme Large Scale Integration (LSI) chips aur Very Large Scale Integration
(VLSI) chips hote hain . Ye mashins Adhik fast hain aur kam kimat wali hain aur
inhe third generation ki mashine ki kimat aur size wali mashine ki apechha
adhik data processing chhamta hai. Ye compute data feed karne ke liye advanced
taknik ka prayog karte hain aur bahri visv ke prayog ke liye processed data ko
bahar lane me bhi advanced hain .
Fifth
Generation ( Under Development ) :-- Ye mashines Parelal Processing aurvArtificial
Inteligence ka prayog karte hin thik
vaise hi jaise maanav mastisk me prayog hoti hai . Isliye in Computers ko is
tarah banaya gya taki ye Manusya ki tarah soch sake Ye Vyapak paimane par
suchana ko store kar sakte hain, sahi aur samay ke sath nirnay le sakte hain
Itna hi nahi Exepert ki tarah Judgement bhi de sakne me sakham hain . Ye
mashine jab puri tarah se vikshit ho jaayengi tab ye Non Numerical Data jaise
Pictures Graphs Aadi ko ko bhin process karne me saksham ho sakenge .
ConversionConversion EmoticonEmoticon